ak aysa lafaz jo her insan ke kabhe na kabhe zindhge badal
kr rakh deta ha.Ak aysa ahsas jo insan ko jina sekha deta ha ya aysa kah loo k
jina k maqsaad da detaa ha.
Kun kahta ha k kisi ko kisi sa payar na ho kabhe bhe mai
samjhta hun k her insan ko kabhe na kabhe kisi na kisi sa zroor payar ho he
jata ha beshaq wo us ko hasil na kr pay or mai ya bhe nahe kahta k payar ka
matlab ha k wo insan jis sa ap payar krtay ho k wo ap ka he ho jay ya zroori
nahe hota.
Aj ya real love story bhe kuch yun he ha ya story ak aysa
insan ke ha k jis na 4 saal ak larkii sa payr kiya lakin kuch kr nahe paya..
Larka bhut he simple tha usay zamanay k baray mai kuch pata
nahe tha lakin larkii ak well educated background or well settled family k sath
rahna wali thii.larka itna simple k usay affairs larka larkii ko kysa chor
detaa ha etc etc jo aj kal her jagah ho raha ha kuch nahe pata tha.
Larka study krta tha or larkii bhe use ke class fellow thii
pahla din jab larka na us larkii ko dykha or dykhta he rah gaya wo perhna cahta
tha lakin perh nahe pata tha kyun k wo larkii us ko kuch krna detii he nahe
thii wo ya bhe janta tha k ya larkii us k liy nahe baniii ya yun kah lain k
larka ko ya bhe feel hota tha k wo larkii es sa kabhe payar he nahe kray gee.
Khair 6 months guzar ga esii khyal mai k larkii us sa kabhe
payar nahe kray gel akin ak din us k maaan mai khyal aya k kyun k asmaaa liya
jay akheer muja ky pata ky huna wala ha lakin aysa wasay kuch krna sa pahla us
larkii ke es larka sa etfaaq sa baat ho gae or larka payar or bhe strong ho
gaya phir larka ak dam faisalaa kiya k aj us larkii ko bol he don zydha sa
zydha ak thapar mar da gee.
Aglay din jab in ke class khatam hue to larka dara dara or
sahmaa sa ja k us ko rook liya k us
larkii na jab ya kaha g kahain to larka thura dar gaya lakin andar sa khush bhe
hua k sydh ya larkii kuch na kahay aysa kuch sunna k baad lakin kuch he pal mai
us larka na us larkii ko I love you bol diya lakin larki na agay sa jawab nai
diya or chalii gae larka na socha k sydh larkii ko bhe mujh sa payar ho gaya ha
lakin wo ya nahe janta tha k wo larkii es sa payar nahe krtii thii khair on
dono ke class mai sab ko pata chal gaya or sab na us larkii ko es larka k nam
sa tang krna shoro kr diya to larkii na us larka ko seedha kaha k mai aps a
payar nai krtii so don’t even think about it.
Larka ka dil tooth gaya ak saal guzar lakin us ka payar kam
nahe hua or larka hemasha kahta tha k beshak wo mujh sa payar nahe krtii lakin
mai to us sa payar krta hun na zroorii to nahe k wo bhe mujh sa payar kray or
ya kahtay hua us ke ankhun sa aksar anssoo nikal atay tha..
Khair jab ak saal guzar gaya to larka ka dil nahe manta tha
k wo es larkii ko bhoolaa daa ky krta bechara dil k hathon majboor jot ha phir
sa I love you bol aya or same jawab la k a gaya k mai tum sa payar nahe krtii
yun he 3 saal guzar ga or on 3 saalon mai kuch baatain or kuch cheezain us na
aysi sunii or dykhii k us ka kabhe kabhe maan krta tha k wo usay sach mai bhool
jay lakin jab woe s k samnay atii too us ka payar or baadr jata tha yahan tak k
wo larkii kisi ko or k sath bhe ghoomtii thii to us ko bora nahe lagta tha k
kyun k wo apna payar mai maagaan tha aj kal ap na dykha ho k kisi ka payar kisi
k sath ghoomay to usay gusa ata ha wo us ko mana krta ha or phir laraeee hotii
ha lakin wo seedha saadha insan kuch nahe krta tha bus payar krta tha or kuch
nahe wo hemesha us ko picture apna pass rakhta tha ta k wo her pal us ko apna
sath feel kray.
4 saal guzar gay lakin us k payar mai zaaara bhe fariq nahe
aya wo kahta tha k pahla payar insan cah kr bhe nahe bhola sakta lakin jab us
4thay saal mai akhri dafa I love you kaha to us larki na es dafa ek naya jawab
diya k mai jantii hun k tum mujh sa kitna payar krtay ho itna payar k jis payar
k laiq main eh hun tumhain mujh sab he achii larkii mil jay gee so best of luck
for your life or wo hemasha k liy chalii gae or us na kabhe palat kr bhe wapis
nahe dykha jantay hain us larkii ka indirectly answer no he tha bus us larka ko
ek galat fehmii mai daal gae k sydh kabhe us ko es larka sa payar ho jay or larka
apna dost k galay lag kr rota ha or kahta ha mera naseeeb mai ak tarfa he payar
tha or mai hemasha us sa he paayr krta rahun ga.
Wo kahtay hain na k her insan ko wo cheeez nahe miltii jo wo
cahta ha her insan ko wo cheez miltii ha jo us k bahtar hotii ha.
Esi liy payar kiya nahe jata ho jata ha or kabhe bhe payar
ya cheez dykh kr nahe kiya jata k wo mujh sa payr kray gee ya nahe payar payar
hota ha us ko kisi cheez mai tola nahe jata.
Writer:Unknown