Pages

Search This Blog

Aik ye he tu kami hay(Mazhab or Muhabbat main sadiyon porani jung ka aik manzar) PART 2

12.12.14

 Part 2


“bahir bohat sardi hay ander chalty hain” khala ki awaaza ati hay , tais(23) December ki raat ki sardi main pasena, kia ajeeb kafiyat tari ho gai hay muj par.
Fatima or us ka bhai “oun” dono ko andr bethaya gaya or main bahir khara raha. Achanak aik awaz ai “Azeem andr kamry main ajao”, ya awaz meri bari bahan ki thi. Main chupchap khara raha or bs drwazay ki trf dekhta raha. Ami bahir ain or khny lagin “kitni dair say awaz dy rahay hain hum, andr kamry main ao jldi, Oun tumhain bola raha hay” main jaisy he andr dakhil hoa howa us ki nazar muj par pari or main us sy apni nazrain chorany laga. Oun muj sy bht saray sawal krta main un main sy kuch ka jawab dyta. Main na chahty howay b us ko dekhta or jb b us ki meri trf ghalti sy nazar parti main ankhain ko nechy kr lyta. Na-jany kis dunya main kho jata tha main, aisi dunya jis main mera koi sathi tu na tha magr main kisi ko sathi banany ki khwahish zaror rakhta tha.
Bht dair tak ya sb chalta raha sb behty apas main idr udr ki batain krty rahy or main chup chap aik trf beth kar sb ki batain sunta raha. Pir tkreban dou ghanty bad Oun ny bola ab ghr jana chahya sb ny kuch dair or rukny ki guzarish ki, magr shyad ya waqat us kay wapis janay ka tha, jo muj par aik azaab ki trhan zulm dha raha tha. Us ki apnay ghar ki trf wapsi thi or Aik sawal mery andr he andr khay ja raha tha. Jis ka jawab mujhy khud say in ilfaz main mila “ aik ye he tu kami hy”……

(Aik saal bad)

“ami kis ki call thi”, “beta Lahore sy Oun ki ami ki call thi, wo ghar a rahy hain humary”........ ami ka ya ilfaz or mery chahray pay muskurahat ki bahar dono main kuch aisa rishta tha jaisa mashli ka pani kay sath hota hay. Main foran bahir gaya or intzar krny lag gaya kb wo waqt ay ga main usy dubara dekhon ga. Fatima ka khandan Islamabad main he rahta tha, wo aksar aokaat Islamabad apni khala kay ghr aya krti thi shyad usy apnay dadiyal pasnd na thy. khuda ka krna kuch aisa hoa ami ny mujhy ghr bula kr kaha kay “Fatima or us ki ami a rahay hain bs or tumhain un ko bees minute tk aday sy lyna hay”. Main nay ya hukam suna or foran gari nikali, gari main aik muhabbat bhara gana lgaya or un ko aday pay lyny chala gaya, idr main pohncha or idr un ki gari aa pohnchi, Oun ki ami nay mujhy sr pay pyar dia or Fatima nay salam kia or khamosh rahi. main ny samaan uthaya or gari main rakh dia.
Ghar pohncty he ami ny un ka istakbaal kia. Oun ki ami sy milin or Fatima sy bht pyar sy paish ain. Hum sb andr bethak main beth gay or sub batain krnay lagay. Main Fatima ki ami kay pass betha tha achanak unhon nay muj sy meri parhai or haaliya iradon kay bary main pochna shoro kar dia or main ny b un kay sab sawalaat kay jawaabaat itmainaan sy dy dia. khana parosany ka waqt honay laga. Waqt guzrta raha or mery dil ki dharkan aik sal pahly ki trhan tez hoti rahi. Waja aaj b main nahi janta tha, janay ki koshish b nahi thi ki shyad, jo b tha mujhy acha lag raha tha. Hum ab taka aik bar b amnay samny kharay nahi thy howay na hum ny salam sy zyada koi baat ki thi, sb mery kamray main ja bethy kuch dair baad usy shyad kisi kaam sy bahir ana para, main achanak kamry main dakhil honay laga, udr mera or us ka amna samna hoa. Phli bar wo mery samny khari thi, itna kareb jitna phly kbhi na hoa tha, magr main pir b baat krnay sy kahil raha, or aik trf ho kar usy guzrny ka rasta dy dia.
Us ki wapisi ka waqt tha or mujhy us ko wapis chorny jana tha. Kaisi ajeb baat hay aik insane khud ko khud he tkleef dyny ja raha hay, aik mashli khud ko khud he kinaray pay la kr bol rahi hay mujhy pani sy nikal. Wah ray kismt tery b rang kitny anokhay hain. Rasty main chalty chalty meri nazar us kay sayee pay rahi, Shyad wo he rah jay,magr saya b kitna wafadar hota hay jo andhairay kay siwa kbhi kisi b jaga sath nahi chorta, or is bar b aisa he
hoa, wo chali gai or apna saya b sath lay gai. Apany say kay sath sath mery chahray ki khushi ko b sath lay gai, wo khushi jo kuch he waqt ki mahman thi.
Waqt guzrta raha or us sy becharny ka dard bardasht kay kabil hota raha. Magr aksr auqat ghr main Fatima kay bry main baat hoti, us ki sharaft ka chahra hota, us ki khobsorti pay lafzon kay phool nichawar kiya jaty thy. magr main us aik lamha smjh kar bholny ki koshish krta raha, us kay zikar ko unsuna krta raha, Or yun he aik or saal beet gaya .