Pages

Search This Blog

Aik ye he tu kami hay(Mazhab or Muhabbat main sadiyon porani jung ka aik manzar) PART 1

11.12.14

                                                       

 Insan ki zindgi main bht sy mour atay hain… kuch usy kamiyabi, nakami, kuch smaji or kuch tanhai ki traf lay jatay hain… In sb ki nawazish main kuch logon ka, ghar walon ka or kuch humara apna hath hota hay… main bhi aisi hi aik nawazish sy do char howa.. or in tamam lamhaat ko main ny apnay ilfaz kay sanchay main bekahair dia. mery ilfaz or jumlay sirf unhi logon ko roshnaz kr skty hain jo kuch paanay ki tamana or kuch khonay ka dard Rkht hain... Akash Khan
                                                                         Part 1
 Ghar ka drwaza khola or jaisy he andar dakhil hoa tu khabar mili, bri bahan ka visa a gaya hay or ticket ki date b confirm ho chuki hay tyari kar lo beta Lahore jana hay bahan ko airport chorny... Meri bahan “faiza” ki shadi meri khala kay ghar ho chuki thi.. bht mushkilat kay bad bht kuch dekha or saha pir ja kr ya rishta ho saka mery bahnoi “Shazal” apnay iklaq o kirdar kay lyhaz say bht achy insane thy. Wo Germany main kisi multinational company main kaam krty thy. Un ki aik bahan aik bhai, walda majida or walid b un kay sath Germany main he rehaish pazeer thy. Main Azeem bakhsh jo kay naam kay sath sath har chez main he azeem smjha jata tha apnay khanadan ka sb sy ladla or pyara lrka tha. Mery walad ki wafat mery bachpan main ho chuki thi or unhn ny apnay asason main bht sari jaidad chori thi jis kay main, meri do bahnain (Faiza or jamela) or meri ami waris thy Khandani dushmaniyon ki wja sy humain jaidaad kay bht baray hisy sy hath dhona para layhaza humary hisy main adhi jaidaad he a saki.. Aj main dunya kay bahtreen software engineers main sy aik hon jis ko hire krny ki khwahish bri bri companies krti hain. Germany main apnay bahnoi ki company main kaam krta hn, magr such main shyad main bs apna aap ko masrrof rkhta hon, guzray waqat ko yad krny sy bhtr insan koi aisa kaam amal main lay jis sy us ka dehan but jay. Aik software engineer ko or kia chahya ya he kay usay aik bri company main nokri mil jay or wo acha kahasa paisa kama sakay. Magr meri zindgi ka maksad kuch or he tha. Mujhy kuch or chahya tha jo main kbhi kisi ko bayan nahi tha kar paya. Shyad ainay kay smny khara ho kar khud ko b nahi. Tanhai main rah kar khud ko aik zinda laash banna shyad kisi ko b nahi pasnd magr mujhy humaisha sy tanhai main rahna or suni baton ko unsini krna pasnd tha. Mery marz ki waja kuch or he thi. Mery marz ki dawa shyad ab tak apni takhleeq ko pochnchi na thi. Bahnoi ko bhai khta hn or wo mujhy apnay chotay bhai “ikraam” sy zyada pyar krty hain, aisa mujhy nahi sb ko lgta hay. Mery khandan main kbhi kisi nay nokari nahi ki siway meri abu kay akhir Bray khandan jin ki sainkaron aikar zameenain hon jin ka naam poray shahar main thathain marta ho wo aisa kion krain, magr mujhy awarapan, nakara ho kar aik konay main bethny sy bhtr nokri karna lgta hay. Ami kay khnay pay main apnay dost Abubar kay pas gaya or usy Bari bahan kay visa kay bary main btaya or kaha kay gari ka bndobast krna hay, jahaz Lahore sy takeoff kary ga. Abubakar mery ghar kay pass he islamabad main rhta tha. Us ki khwahish thi kay wo doctor banay jo us nay apni khoob lagan or mahnat kay sath pora ki. Abubakar ki ami muj sy bht lgao rakhti thin, main jb bhi us kay ghar jata bell dobanay ki jaga abubakar ko awaz dy kar bolata. Abubakar kay sath main ny gari ka bndobast kia, bandobast kia krna tha gari wala b apna he rishtadar tha “miyan majeed sahib”. Lahore meri aik khala rehaish rakhti thin. un sy meri bilkol nahi thi bnti, shyad wo muj sy hasad krti thin ya pir mujhy he lgta tha ky aisa hay. Khair jo b tha un sy jb b kbhi bat hoti thi khtin thin..”Aj mery bety nay ya pora sipara khatum kr dia, aj mery bety nay awal number lay lia school main” kbhi ya na bola tha kay beta tumhari parhai kaisi ja rahi hai halakay main us waqt college jata tha. Apni jamaat main tesra kamiyaab talbay ilm tha. Ami ki khwahish thi hum teen din phly jain gay thori kahredari krain gay or pir faiza ko airport chor kar wapis ain gya. Magr mery khyalat or jazbat kuch or he thy. Phly tu main jana nahi tha chahta or jb pata chala “Irum” muj sy milna chahti hay tu sb sy phly tyar ho gaya. Irum meri bachpan ki dost thi mery sath parti thi. Nai nai jawani thi or naya naya nasha, kay kbhi hum b ghr walon sy chup kar milain gya. Magr milna kia tha bht dair bad us sy internet pay bat hoi or pata chala wo Lahore ja chuki hay or muj sy milnay ki khwahish rakhti thi. Main kbhi mukhtalif bahanay bnata or kbhi kisi or trhan sy baat ko taal deta. Magr is bar main khud b irum sy milny ka irada kr chukka tha Magr “phli or akhri bar”. Aik martba bhai ny mujhy apni zati zindgi ki kahani sunai, wo college main aik lrki ko bht dekha karty thy magr wo kbhi us sy apni dil ki baat na kar pay thy, bht acha hoa nahi kah pay kion kay un ko baad main is baat ka pata chala us kay phly sy he panch chay lrkay dost (boyfriend) thy. Mujhy Lahore shahar sy kuch dili nafrat si thi. Udar ka shoor sharaba, logon ki itni bheerd dekh kar dam ghotta tha. Magr aik waqt ay ga isi shahr sy mujhy mohabat ho jay ge main ny kbhi socha he nahi tha. Jidr janay sy main ghbarata tha, udr janay kay liya meri ankahin ashkon main doob jain gen is bat ka andaza lagana b namomkin tha.Gari chali mera pahla sms Irum ko gaya “i’m on the way”. Main ny kuch yun irada kia kay main Liberty market kay samny utar jaon ga or main pir irum ko “hi hello” bol kr local ghar a jaon ga. Irum liberty pohnch chuki thi or main “Bhaira” ki hadood ko paar kar chukka tha. Suraj apni aramgah ki tarf ja raha tha. Asman pay halki si lalgi baki thi or Lahore muj sy bas kuch he faslay pay tha. Lahore pohanchnay par sb nay shukar ada kia or main nay unchi awaz main aik gana lga dia takay mujhy bahir sy anay wala gariyon ka shor tang na kar sky. Liberty kay rasty sy guzray or main ny ami sy guzarish ki kay mujy liberty market kay ander janay dain aik zarori kaam krna hay, magr ami nay inkaar kr dia or mujhy saf saf hukam nama dy diya kay sedha ghar chalo udr sy jahan marzi jana. Main is baat pay naraz tu nahi tha magr is baat sy thora beychain tha kay irum ko bura lagay ga. Shyad main khud b Irum sy milna nahi tha chahta, Magr is bar us sy milna b zarori tha. Ghar pohnchay or sara samaan aik mazdori samajh ka ghar kay andr rakh dia. Khala je kay wo e pyar bhary do thapar or aik boosa mathay pay, jo mujhy sirf dekhawa hi lgata tha. “Khana tyar hay azeem” khala nay awaz di or main ny jawab main bola “abhi aya bs aik tasveer or bna lon” us waqt tasveer khinchwanay ka bhot sa sawar tha. Irum sy milnay janay kay liya kis trhan sy ghar sy ijazat talab karo us ki tajaveez soch raha tha. khala kay hazar baar bolanay par main khanay kay dasterkhwan pay ja betha. Dasterkhwan biryani, korma, mashli fired, drinks or salad kay sath saja hoa tha. Main ny biryani, salad or pinay kay liya sharbat ki guzarish ami sy ki kion kay bachpan sy bht buri adat jon thi khud koi b kaam na krny ki. Irum ko milny jana hay bs ya he dmag main chal raha tha. Jaldi sy khana kahya or bahir jany kay liya jaisy he utha aik call ai. Call Mujhy andaza na tha ya call meri zindgi ko kaisy badal dy ge. Is sy phly b main ya call do teen bar sun chukka tha magr is bar is call ka maksad kuch or he tha. Mery bhai(bahnoi) ki bahan Nabila ny mujhy aik bar internet(facebook) pay jo kay bht makbol social networking website thi aik larkay ko apny doston ki fahrist main shamil karny ky liya bola. Wo bri thin main ny hukam mana bgair koi sawal kiya usy fahrist main daal dia. Us ki aik bahan thi, wo Nabila ki moun boli bahan bani hoi thi. Nabila us ki gharwwalon kay sath bht hud tak jori hoi thi, us ky ami abu bry bhai choty bhai sb kay sath us ka lagao tha. main ny jb b call receive ki us lrki nay meri bri bahan sy baat krny ki guzarish ki. Or main baat krwa dyta tha. “Call uthao azeem” ami ki awaz ai. Main ny uthai, wo awaz jo har bar mujhy kisi ajeb sy waham main dal dyti thi, mujhy bychani main dal dyti thi, main khamosh ho kr beth jata or ya janty howay b kay mera koi tallok nahi is insan sy or is awaz sy magr main ajeb si soch main gum ho jata tha. Aik awaz mery liya bht sy sawal khary kar dyti thi, jin ka jawab dhondny kay liya mery pass meri khamoshi kay elawa kuch nahi tha. “Asalam o alaikum” main “Fatima” baat kr rahi hoon aap humain address smjha dain hum aap kay ilakay main dakhil ho gay hain. Main aisy rah gaya jaisy zuban he na ho, chupsa, ankhain kholi rah gain, pasena anay lag gaya. Kia kafiyat thi byan nahi kr skta. Aik anjan kay liya aisa mahsos krna aik pagalpaan hay or kuch nahi. Main ny mobile ami ko dy dia or kuch na bola. Ami baat karny lag gai or address smjha dia. Call band hotay he mujhy thora danta or khanay lagen insane khud b kbhi baat kr lyta hay. Mujhy hukam dia gali kay bahir aik sfaid rang ki gari khari ho ge us gari main jo hai usy apnay sath lay aon. Ami ka hukam tha or meri bychaini, mujhy malom nahi tha mujhy kia ho raha hay, main chupchap chlta raha or gali main khara ho gaya. Aik gari ai aik lrky ny ishara kia main ny usy mery pichy anay ko bola dia. Main nahi janta tha gari main kon kon mojod hay magr meri hasrat zaror thi kay main pichy moor kay dekhon. Gari ghr kay smny ai or ruk gai main ny gate khola or ami ko awaz di, meri awaz sun kar sb bahir a gay. jis larkay nay mujhy gari main bethay ishara kia thaw o gari sy nikla ya wo he lrka tha jisy main ny internet pay apnay doston ki fahrist main shamil kia tha magr ab tak mujhy smjh na ai mujhy kion bola gaya isy doston ki fahrist main shamil krny ko. Pir gari ka dosra drwaza khola or aik lrki nikli, mari nazrain zamen ki trf thin, achanak muj sy kisi nay salam kia jaisy he salam ki awaz mery kanon main pari mujhy foran call pay suni gai awaz yaad a gai or main ny apni nazrain upar utha lin. Mery samnay aik larki khari thi awaz suntay he mujhy is baat ka andaza ho gaya yaw o he larki hay jo aksar call kia karti hay. Us par Nazar kia pari main bynazar ho gaya, itni haseen, libaas main sharafat, us ki nazar main bachpana, chahray pay ikhlakiyat ka samandar jhalak raha tha, meri ankahin us pay he tahri rahin shyad dunyan bhar ki kitabon kay ilfaz us ki tareef bayan karty karty khtum ho jain gay magr main bayan nahi kr paon ga. Aisy mokay pay aik shair yaad ata hay... “Suna hay loog usay ankh bhar kay dekhty hain, so us kay shaihar main kuch din tahar kay dekhty hain”